Is Ada Se Wo Wafaa Karte HainIs ada se wo wafaa karte hainKoi jaane ki wafa karte hainHumko chodoge to pachtaogeHansne walon se hansa karte hainYe batata nahi koi mujhkoDil jo aa jaye to kya karte hainHusn ka haq nahi rehta bakiHar ada mein wo ada karte hainKis kadar hain teri aankhein bebaakIn se fitne bhi hya karte hainIs liye dil ko laga rakha haiIs mein dil ko laga rakha hai'daag' tu dekh to kya hota haiJabr par jabr kiya karte hain
Guzre Hue TaveelGuzre hue taveeGuzre hue taveel zamane ke baad bhiDil mein raha woh chhod ke jaane ke baad bhiPehlu mein reh ke dil ne diya hai bahut farebRakha hai us ko yaad bhulaane ke baad bhiQurbat ke baad or bhi qurbat ki talaashDil mutmain nahin hai tere aane ke baad bhiJo tu yahan nahin hai magar tu yahin pe haiTera hi zikar hai tere jaane ke baad bhiLagta hai kuch kaha hi nahi hai usey farazDil ka tamaam haal sunane ke baad bhi
Kyon Phir Rahe Ho Kaif Ye Khatre Ka Ghar LiyeKyon phir rahe ho kaif ye khatre ka ghar liyeYe kaanch ka shareer ye kaagaz ka sar liyeSholey nikal rahe hain gulabon ke jism seTitali na ja kareeb ye resham ke par liyeJaane bahaar naam hai lekin ye kaam haiKaliyan taraash lee to kabhi gul qatar liyeRanjhaa bane hain, kais bane, kohakan baneHumne kisi ke vaaste sab roop dhar liyeNa meharabane shehar ne thukra diya mujheMain phir raha hun apna makaan dar-b-dar liye
Is Ada Se Wo Wafaa Karte HainIs ada se wo wafaa karte hainKoi jaane ki wafa karte hainHumko chodoge to pachtaogeHansne walon se hansa karte hainYe batata nahi koi mujhkoDil jo aa jaye to kya karte hainHusn ka haq nahi rehta bakiHar ada mein wo ada karte hainKis kadar hain teri aankhein bebakIn se fitne bhi hya karte hainIs liye dil ko laga rakha haiIs mein dil ko laga rakha hai'daagh' tu dekh to kya hota haiJabr par jabr kiya karte hain
Uljhe Na Zulf Se Jo Pareshaniyon Mein HumUljhe na zulf se jo pareshaniyon mein humKarte hain is pe naaz ada-daniyon mein humSaragarm-raqs-tazaa hain kurbaniyon mein humShokhi se kiski aaye hain jolaniyon mein humSabit hai jurme-shikwa na zahir gunahe-rashqHairan hain aap apni pareshaniyon mein humMaare khushi ke mar gaye subahe-shabe-firaaqKitne subuk hue hain garaan-jaaniyon mein humAata hai khwaab mein bhi teri zulf ka khyaalBetaur ghir gaye hain pareshaniyon mein humDekha idhar ko tune ki bas dam nikal geyaUtare nazar se apni nigahabaniyon mein hum
Ye Din Bahaar Ke Ab Ke Bhi Raas Na Aa SakeYe din bahaar ke ab ke bhi raas na aa sakeKi gunche khil to sake khil ke muskura na sake;Meri tabahi dil par to reham kha na saki,Jo roshani mein rahe roshani ko pa na sake;Na jaane aah! ki un aansuon pe kya guzari,Jo dil se aankh tak aaye mishgaan tak aa na sake;Rahen khulus-e-mohabbat ke haadsaat jahanMujhe to kya mere naqsh-e-kadam mita na sakeKarennge mar ke baqa-e-dawaam kya hasil,Jo zindaa reh ke muqaam-e-hayat pa na sake;Naya zamanaa banane chale the deewaneNayi zameen, naya aasmaan bana na sake